Khayaalon ki uljhan
Khayaalon ki uljhan

AI generated img
Na jaane ise kya kahu..
Feelings me confuse kar dene wala shor kahu, ya vo thehraav… jo na to sukoon deta hai, na thehrne.
Pata nahi kis gumnaam shehar me le jati hai ye raat ki tanhaai, na kisi ka pata janti hu, na khud ko pehchanti hu.
Bas chal deti hu andhere ka haath thaame.. Kisi bhi ore, jahan khayaal le jaye. Bina darey, bina ruke, bina kuch soche samjhe.
Jazbaato me bas beh jaati hu.
Khaamoshiyon ko gungunata paya hai, na jaane kon si jagah hai, kahan hai, maaloom nahi.
Kuch baatein aisi hoti hain, jo na aap kisi se keh paate hain, na chipaana chahte hain.
Vo khayalon ki duniyaan maano zindagi me to hai, magar zinda nahi. Nazar me to hai, lekin kisi ki nazar unhe dekh nahi paati… Ya yun kahu, ki dekhna nahi chahti.
“Jazbaaton ka aisa silsila, jo sach ko likhne se katrata hai.. ki na jaane ye panne kahin gumnaam ya badnaam na ho jayein”
메타데이터
- post_id
- 0260b8eddceb
- slug
- khayaalon-ki-uljhan-0260b8eddceb
- url
- https://medium.com/@akshita300223/khayaalon-ki-uljhan-0260b8eddceb
- canonical_url
- https://medium.com/@akshita300223/khayaalon-ki-uljhan-0260b8eddceb
- author_url
- https://medium.com/@akshita300223
- status
- ok
- fetched_at
- 2026-07-19 03:03:37