Ya Musa Kazim Noha Lyrics Shahid Baltistani
25 Rajab New Noha Lyrics in Urdu
Ya Musa Kazim Noha Lyrics Shahid Baltistani
25 Rajab New Noha Lyrics in Urdu
Abu ar-reza
Yabna jaffar, abur-raza Abur-raza
Ya musa-e-kazim
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda
Ya musa-e-kazim
Tere baba imam-e-sadiq hai
Jiske dam se hai Jafferi saare
Deen-o-mazhab, sabak ibaadat hai
Ham ko saaye usi ke dar se mile
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim
Hai qaramat-e-murtaza tujhme
Saailo(n) ke bhi ye ata tujhme
Rad jo hoti nahi kisi surat
Saans leti hai wo dua tujhme
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Tum bhi hajat rawa-e-alam ho
Haideriyyat ka azm-e-mauqam ho
Tum dua-e-janab-e-zahra se
Pursadar-e-janab-e-adam ho
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Bas junoon-o-jabal jilawatni
Tere pyaaro(n) ke tujhse hai paayi
Kitne dana the tere diwane
Umr bhar teri nokri karli
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Almadad (maula raza)
Tera beta imam-e-zamin hai
Jiske qabze mei raat hai din hai
Wo khurasaan ka hai shehzada
Har shifa uske dar pe mumkin hai
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Teri dukhtar hai qum ki shehzaadi
Uski chowkat pe de sada jo bhi
Joliyaa(n) apni bhar ke laata hai
Ghamse milti hai usko aazaadi
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Tere taboot ki wo tanhaayi
Na tha beta ghareeb na bhaayi
Chand mazboor aye ujrat par
Lash raste se teri uthwaayi
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Hai najaf dushmano(n) ke narghe mei
Karbala samara ke raste mei
Bekafan momino(n) ke laashe hai
Kufr dakhil huwa madine mei
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Maula tu bhi dar-e-hawaaij hai
Tera sikka jahaa(n) waaij hai
Ham to har imtihaa(n) se guzrenge
Dene wala tuhi nataij hai
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Tu bhi Rehan istighasa kar
Kehke ya Musa ya bin-e-jafar
Nauha goyi karu qayamat tak
Aur ghulaami karu dar-e-shah par
Tu saathwa mushkil khusha, noor-e-janaab-e-sayyeda (Ya musa-e-kazim)
Yabn-e-jaffar abur-raza) Abur-raza
메타데이터
- post_id
- 7b3fec07bee6
- slug
- ya-musa-kazim-noha-lyrics-shahid-baltistani-7b3fec07bee6
- url
- https://medium.com/@ya-zahra/ya-musa-kazim-noha-lyrics-shahid-baltistani-7b3fec07bee6
- canonical_url
- https://medium.com/@ya-zahra/ya-musa-kazim-noha-lyrics-shahid-baltistani-7b3fec07bee6
- author_url
- https://medium.com/@ya-zahra
- status
- ok
- fetched_at
- 2026-08-09 16:58:52