← Back to list

TOH SAHI HOGA KYA?

Main galat ko galat bhi na bolu  Toh sahi hoga kya Kal ka sapna sanjo kar Aaj ki halat na dekhu  Toh sahi hoga kya  Sarkar ne kya kiya…

Chetan Kumar · 2021-12-28 06:33 · 0 claps · 0.7 min read
#desh #truth #government #justice #dreams
Open on Medium ↗
Wiki topics: 🏛️ · Politics

TOH SAHI HOGA KYA?

Main galat ko galat bhi na bolu Toh sahi hoga kya Kal ka sapna sanjo kar Aaj ki halat na dekhu Toh sahi hoga kya Sarkar ne kya kiya Yeh sawal vipaksh se karu Toh sahi hoga kya Mai khud kai dharm ko accha bta kr Dusre dharm ko galat batau Toh sahi hoga kya Apne neta se uske kaamo ka hisab mangu Toh sahi hoga kya Mai sikke ka ek he pehlu dekhu Aur apna faisla le lu Toh sahi hoga kya Aaj ki khabar dekh kar Kal ki baatien bhul jau Toh sahi hoga kya Jhuth kai khilaf Sach ki aawaz na uthau Toh shi hoga kya Marham kehkar logo kai Zakhmo par namak lagau Toh sahi hoga kya Muddo se bhatka kar Jhuthe sapne dikhau Toh sahi hoga kya Rozgar ki baatien kar kai Berozgari ki dar badhau Toh sahi hoga kya Aatmanirbharta ki baat kr kai Sarkari companiya bech du Toh sahi hoga kya Kaam se jyada kam ka prachar karu Toh sahi hoga kya Desh ki nahi Man ki baat karu Toh sahi hoga kya Azaad desh mai bhi Khud k sawal na uthau Toh sahi hoga kya…


메타데이터
post_id
eea21a3117d2
slug
toh-sahi-hoga-kya-eea21a3117d2
url
https://medium.com/@chetan.kr0801/toh-sahi-hoga-kya-eea21a3117d2
canonical_url
https://medium.com/@chetan.kr0801/toh-sahi-hoga-kya-eea21a3117d2
author_url
https://medium.com/@chetan.kr0801
status
ok
fetched_at
2026-07-27 16:56:52